Ghar mein roshni karne se ghar ji nahin uthata.
Ise ghar banana ho to insaan basaiye
Khuda ne suraj harek ki kismat mein nahin likha
Jo paas hain ujale, unhi se dil lagaiye
Zindagi kalam hai, likhati rehti hai.
Ise rishnai nahin, mohabbat pilaiye
Sahi hai ki khuda pattharon mein nahin basta
Par wo kahan nahin hai, yeh to bataiye
Dil agar zinda hai to dukhata bhi hoga
Jo kabhi roya nahin, woh insaan dikhaiye.
Monday, July 30, 2007
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
2 comments:
bhaiya...agar chidh ke khinchai karni ho toh kahoon ki Fazli Saheb ka style kyon apna rahe hain...par khoobsoorat hain panktiyan..!!!
Post a Comment