Showing posts with label triveni. Show all posts
Showing posts with label triveni. Show all posts

Thursday, March 27, 2008

Khuda ne kaha

Turup ka patta woh tha

Chaal meri thi

Khuda ne kaha

Aawaargi

Hatheli pe boondon ko uthaao
Sarak jaate hain lakeeron ke beech

Aawargi boond ki fitrat, ya lakeeron ki.

Friday, March 21, 2008

Thakan

Udaasiyon ki ghadi thakaati hai aankhein

Tumhari kami ek gehra bojh hai

Thak gya bahut, chalo neend acchhi aayegi.

Thursday, December 6, 2007

Kabhi khushiyon ko bulaa bhejo
Ki jii udaasii se bhar gaya

thodi jagah abhi bhi khaali hai.
kabhi Udaasiyon ko bula bhejo
Ki jii khushi se bhar gaya

Thodi jagah abhi bhi khaali hai

Wednesday, November 28, 2007

Tamasha

Jab se wapas aayi hai woh, khush hai
Aankhon ki chamak uski, hamara andhera


Har subah ka tamasha boodhi aankhein kab tak dekhein.


(I have had an expsoure on the issue of migration and prostitution during my earlier work. This triveni has roots in that experience.)

Monday, November 19, 2007

Triveni (4 Aug 2007)

Kaanch ke baadal


Udana chahta thaa main baadlon ke paar
Bharosa tha girne ke liye dharti ki god to hai


Uda to dekha baadlein aaina hain, Kaanch ke bane.
===========================


Adhura Kaarya


Kaun hoon main jaanata yadi
Shabd likhata nahin, gadhata


Kuchh aadhe adhuure gadya pure karne hain mujhe.
===========================


Priority


Doctor advised me to relax and work
I prefer work and relax, and work.


Priority, thats what life is about.
==========================


Diya


Sooraj chala gaya, chand abtak aaya nahin
Roshni mere bheetar ki ghar bhar faili hai


Kaash, pados ka diya bhi jala paata main
=========================


Hausale waale raahi


Saahil chuup hai, yahan toofan ka andesha nahin
Butaroge to oonchi lahron se takraaoge


Daaraate daaraate thak gaye wo, rasta paar ho gaya.

Tuesday, October 30, 2007

Sukoon

Ek purane khat mein dekha itr ki khossboo ab bhi thi
Syaah panne aur dhundhale harf puraani jabaan mein bolte the


Sukoon mila kam se kam maazi to baatein karta hai humse

Monday, October 29, 2007

ZID

Saath dena chahte the woh aage bhi
unhein rok diya humne mod pe hi


Ajeeb zid thi bicchhadne ki.

Sunday, October 14, 2007

Chori

Hatheli pe chaku ke nishaan aise hain
taqdeer se chhoti si takraar jaise hain

jeevan rekha theek karni hai, sabr se karo.
==================

Hatheli pe chaku ke nishaan aise hain
taqdeer se chhoti si takraar jaise hain

chori sabr ki karni hai bhai, sabr se karo

Tuesday, September 18, 2007

Kapde

Nigaahen jaan leti hain, main chhipaa nahin pata
Bedhange knots bata dete hai din bhar ki thakan


Bina kapdon ka bachpan mera kabhi thaka nahin tha

Sunday, September 16, 2007

Tarzuma

Pyar-au-nafrat ka saancha alag alag
Deshon ki boli, sarhad, bhasha alag alag


Kilkariyon ka tarjuma karte, mushkil hal ho jaati.

Thursday, September 13, 2007

Laal

Har shaam jab laal ho utthata hai chhitiz
Aasmaan yaad dilata unki aankhein


Lautate panchhi isliye dekhata nahin main

Keypad

Teri pukaar nahin pahunchi mere paas
Doori bhar rakkhi thi kaano me humnein


KEYPAD ke zariye ab mil lete hain kabhi.

Friday, September 7, 2007

Baarish

Purane safhe, Tera sparsh
chhot ki nishaniyaan, purane zakhm


Kal ki barish ne dho diya sab kuchh

Haath

Haath kyun dhoondhate hain saath tera
Inko ye aadatein padi si hain

Aaj phir aapki kami si hai.

5 Trivenis

1. Gend laana yaad hai na, poochh ke munna gaya
Maa thi kehti dawa bhi bas aaj tak hi chal sakegi


Bees rupyon mein kahan se sab ko khush kar paoonga?


2. Ghar pe aane ke bahaane main tujhe deti nahin
Kaisa nalayak hua hai, kab abhi aayega ghar


Maa ki bimaari ka sunke, mujhko yesab yaad aaya


3. Haath dhalaki kitabon se, panne gum se ho gaye
padhte padhte hum achanak beech hi mein so gaye


Zindagi ne maut ko publishing rights bech di.


4. Jhooth sach ka farq kitna, jo samajh mein aa gaya
Teri aankhon ki kasam, hum jhankana bhi chhod dein


tab talak mujhko mere kuchh aks dhondhane to do


5. Hothon pe chuppi, kasi rekhayein, mathe pe hain bal
kaam se thak ke hai baitha rozi roti ka mureed


kaise samjhayein ki uska daana-paani uth gaya.

Nazar

Bus stop pe chal chuki bas ke peechhe
Daude aur peeth ke bal gir pade


Mahanagr ki Sadak se pehli baar aasmaan nazar aaya

Sunday, September 2, 2007

Vaada

1. Humse mil ke kai baar gaye, sanjeeda aankhein taad gaye

Bachpan ke khel saleeke se seekho - ye kahte haar gaye.

Ye vaada nahin, apne banchhon se main ye sab kah paoonga.

==================

2. Humne tum se jo kaha tha

Sab yahin kahin kho gaya hai


Vaada khain likha nahin jaata

==================

3. Raah mein mujhe mil gaya woh, shaam hone ja rahi thi

Raat ki andhiyari chhuppi marsiya gunguna rahi thi


Subah ka chhal yaad rakhun ya rakhun raat ka vaada.

Monday, August 27, 2007

Yunhi

TV channels yunhi badal deta hoon
Guide hota to kya baat hoti

Kuchh apni zindagi sa hai TV.