Showing posts with label Atukant Kavita. Show all posts
Showing posts with label Atukant Kavita. Show all posts

Thursday, July 17, 2008

Bewakufiyan

Kabhi likha hai kuchh

Mobile ki roshni mein, chhupaake?

Uchhale ho hawa mein

Dono Paanv takraake?

Dekha hai kabhi khud ko aaine mein

ajeeb si shaklein banaake?

Kabhi chhat ki munder pe hue ho khade

Titanic waale pose mein?

Ya football ko ungliyon pe nachaane ki

Practice ki hai?

Karke dekho.

Ye bewkufiyan

Behad pasand hain

Use.

Monday, July 14, 2008

Agar Khuda ek banker hota

Agar khuda chef hota

To bataata

Lazeez khana

Bina aag pe pakaaye

kaise pakaayein

Agar priest hota

To confession box mein

Doosron ka mann

Halka karta

Mochi hota

To sahuliyat paaon ki

Sahejta

Khubsurti se

Khuda agar

Designer hota

To sochta

Jo bana diya pahle

Usase behtar kaise banaaoon

Khilaadi hota

To maidaan pe

Din tay karta

Ki kaun se keertimaan

Kab behtar karne hain

Engineer hota woh

To banaata kuchh naya

Aur kehta

Banaata to hamesha se hi aaya hoon

Par engineer bankar

maanviy tareeke se

Naya banaane ka

Tamga mil gaya mujhe

Sangeetkaar Hota

To chori karta

Apni hi banaayi

Saikadon aawaazon mein se

Kuchh chuni hui shrutiyaan

Pirota

Aur banaata

Bhahma-sangeet

Agar Khuda banker hota

To bataata

Duniya ke hisaab mein

Liabilities do not equal assets

Chaaron taraf

Khuda ne banaaya hai sab kuchh

Gar kuchh bhi naya karma hota

To chun-ne hote aayaam

Tay karne hote shrot

Aur ban jaati nayi kriti

Kisi upasthit se prerit

Lekin anokhi

Jaise kabhi

Amoeba se

Aaj ka manushya bana.

Kirdaar aur Main

Ladai Ho gayi thi humse

Kirdaaron ne pahne shabd,
Aur odhe ehsaas
Nikal pade.

Kahaani shuru ho gayi.

Mausam thoda badmizaaz the us din
Khoob Barsa.
Ehsaas poore bheeg gaye.
Par.
Shabdon ne bachaya
Kirdaaron ko
Bheetar tak bheegane se.

Kirdaar chalte rahe.

Raaste mein unhone sune
Hazzar atkalein
Ki hum kyun lade
Unmein sach koi bhi nahin tha
Kalpanaayein sabhi acchhi thin.

Apnaaya, Saheja
Un atkalon ko.
Kahaani aage badhi.

Main ghar soona pakar.
Baahar nikalne ko hua
lekin baarish thi
Paanv kheench liye waapas

Bhatakte hue kirdaar
Rahe the bahut kuchh
Par shahar chhota tha
baarish thamne pe
Dhhondh nikaala humne
Kirdaaron ko
Maidaan ke us paar.

Atkalein darkinaar kar di maine. 
Par jo motiyan
mere kirdaar bator laaye hain
Unka kya karoon!

Kahani ki maala mein
Antim daana to koi ek hi lagega.

Dhokha Zindagi ka

Jaane kyun hota hai
Aur Jab hota hai
to kahan hota hai
Pata kyun nahin chalta

Shaam khaali si
Din bhare se rahte hain
Aankhein khuli ho
par dekhti nahin


Sparsh ka anubhav
Anchhua
Jaise baarish ki boond koi


Sapne sachhe se
Dekhne laga hoon main
Isliye, darr lagta hai

Jaane kyun hota hai
Dhokha mujhe
zindagi ka
Aur Jab hota hai
to hota hai
yeh
Pata kyun nahin chalta.

Kya samandar ban sakoge tum?

Thhop Di jaaye agar Gehrai tumpe
Kya samandar ban sakoge tum?

Chhand leke surya ka bal
Failaata prakash sheetal
Apni oorza se prakaashit
Karta jaata surya har pal

Swayam jalkar is jagat ko
roshni kya de sakoge tum
kya diwakar ban sakoge tum.

Raat

Main raat ko
muhaane pe hi chhod aaya tha.

Baat poori ho gayi thi hamaari
Maine ujaale chune the
Raat naraaz hui thi.
Maine palat ke
dekha tak nahin tha.

Aaj
Phir se andhera chha raha hai
Usi muhaane pe
laut aaya hoon
main.

Tohmatein

Lambi palkon se khinchkar
bejubaan sarhadein,
Ban jaana kisi ki
khamoshi ka sabab,
Bhala kise acchha lagega

Gar chup rahe tum,
sahte rahe sab kuchh,
inmein main kahan tha,
tohmat mujhpe kyun.
Bulaaya hote ek baar.


Teri palkon ki bhaasha
Aati hai humein.
Bejubaan sarhadein laanghna
Koi mushkil na tha
mere liye.


Aaj,
Jab bantwara ho chuka mukammal,
Sarhad ke us paar
kaise hoge tum
yahi sochta hoon.

Dil kehta hai
ki humhein yaad karte hoge.
par maine tumhari
tohmatein odh li hain.

Kya pata,
kabhi sarhadein toot jaayein.
aur aise mein,
mujhe tumhaare saamne
sharminda na hona pade.

Baadlon ki doosri duniya

Baadlon ki doosri duniya bhi hoti hai

Aankhon mein basi
surk hatheliyon ki lakeeron se gujarti
har dam sarkti lekin
kabhi kahin pahunchti nahin

Badhti hai kyunki khyaalon ke pankh hote hain
Uda le jaate hain is aasmaan ke us paar
Waapas aana nahin hota, bas
Sapne bunate hain
Un sapnon ki kaleen pe udkar
Dekh aate hain is duniya ka haal

mausam badla
to odh lete hain rang birangi odhni
kaali, safed, bhoori, peeli, sunahari
Jaise baarish ko dekh
Sir chhipaane ko
Odh li ho chunari kisi ne

Aur jab,
Saagar bulata hai apne aseem vistaar ki or
Sharma jaate hain
Thaki awaaz mein kahte hain
Yeh duniya
us duniya sareekhi hi hai
Alag kya hai bhala

Wahan bhi suraj ki garmi banaati hai humein
Aur baarish ka mausam humein
pighla deta hai
Sapnon mein aisa to nahin hona chahiye na!
Bolo, main kya jawaab doon
is rumaaniyat se bhare sawaal ka?

Sunday, March 30, 2008

har subah ka ashaar

Ahale subah har din


ashaar likh jaata hai koi


alfaaz pahunchte hain paas


lekin kuchh chup se


thode sahme, thode naraaz


par maan jaane ko taiyaar


main kuchh bhi kahoon


sunte zaroor hain


par haalaat, tabiyat, aur mausam


maayne tay karte hain unke


mann karta hai poochhoon


kaun hai jo likhta hai har din


kaun hai jo har din yaad karta hai mujhe


Lekin unhein bhi pata nahin


yeh main jaanta hoon


................

Tuesday, October 30, 2007

Prashna

Kya hai woh?
Jo mujhko Jode tumse
Tumko jode mujhase
Ye hai sahaj vishwaas.


Kya dekhoon main?
Har pal dikhati tum hi
Tumse itar kuchh nahin
Ye kaisa aabhaas.


Khush hooon kya?
Tumse miloon khil jaoon.
Dur jaoon murjhaoon
Ye kaisa ullaas.


Pyaar karoon main?
Roj naye udgaar.
Nit seema vistaar.
Ye sab bina prayaas.


Tumko Dhundhoon?
Kaise jhankoon bhitar.
Tera aks hai andar
Tum ho mere paas.

Monday, October 22, 2007

Shabd

Sochna hi kehna nahin hota
Shabd jodne padte hain
Kehna hota hai.

Chhuppi bolti hai
aisa suna bhar hai

Tumhare jaane ka sannata
Shabd ki parchhaiyon ke beech
Khamosh hi to hai tab se.

Kab suni tumne aawaazein
Maine to pukaara nahin
Mujhe pata hai
Sochna hi kehna nahin hota
Shabd jodne padte hain
Kehna padta hai.
Lekin.....

Shabd laaoon kahan se
Mere vyakaran ki jyamiti mein
Sangya tum thin,
Shabdawali tum,
Kriya tum.

In-hi shabdon ke judne se
to banti hain baatein

Mera sannata nahin bolta mujhase
Kuchh baatein karni hain

Mere shabd waapas dogi mujhe.

Wednesday, August 29, 2007

Kya hai kavita?

Kya hai kavita?
Shabd nahin hai to kya hai?
Amrit hai ye.
Jeevan vrit ki trizya hai.


Kya hai kavita?
ratn yahi hai bhasha ka
Bhavukta hai.
Aiyyaron ka lehza hai.


Kya hai kavita?
Vidha hai ek saahitya ki.
Bhaav prawan hai.
Marga-darshika pragya hai.


Kya hai kavita?
Shaili hai kuchh kahne ki.
Shakti hai yeh.
Khand-khand ki sangya hai.


Kya hai kavita?
Kaam nahin hai murdon ka.
Laykaari hai.
Sundar si ye kalpna hai.


Kya hai kavita?
Samvaadon ka hai sansaar.
Baat-cheet hai
Dwigaami yeh saadhana hai.

Monday, August 27, 2007

Prakriti hai Balwati

Prakriti se hoon aprichit
mahima kitni hai, anishchit.
Jo kabhi hum bhid pade to
Jeet uski hai sunishchit












Hum sabhi aage badhe hain
Jadon se lekin hate hain
Oxygen ke centres hai ab
Saath hi jungle kate hain.

Darr hai lagta prakriti se
Aasare ab vikriti ke
Kabhi tsunami, kabhi bhukamp
Ishwar dooba swa-kriti se.
Saumya chehara prakriti ka
Shiv ko peeche chhod sakta
Sudarshan hai, Shaant hai, par
Lasya-taandav jod sakta.
dekh maanav, aur darr tu.
Ikchhaon pe kaabu kar tu
Prakriti to balwati hai.
Iska kuchh sammaan kar tu.

Tuesday, July 24, 2007

Ehsaas

Ye Baatein.
Mann ki baatein.
Tum ho mann mein,
mann sundar hai.
Mann khush kyun hai?
tera ghar hai.
Chhota ya bada
par sundar hai.
Sapnon si bani, phholon se saji
Bhaavon se bhari, kuchh kuchh behki
Kya kahte ise? Main kya janoon?
bas janoon yeh hai tere liye
Dil mein dhadkan hai tere liye.
Thoda sa darr hai tere liye.
Kuchh mann mein kasak hai tere liye.
Andekha safar hai tere liye.
Aankhon mein nami, hothon pe hansi.
Mithi si chubhan, thodi si khushi.
Pyara ehsaas sab tera hai
Dheron vishwaas sab tera hai
Din-raat ka manzar tera hai.
Bhaavon ka samandar tera hai.
Woh khat bhi tere naam ke hain
Jo bheje maine kore hain
Aur unko bheja maine hi
Jo khamoshi se poore hain
Wo waqt bhi saara tera hai
Jab main akela hota hoon
Tum raho- na raho saath mere
Main aks tumhara chhuta hoon
raton ko baatein hoti hain
jaago to baatein hoti hain
So jao to sapne mein
Bhi mulaakaatin hoti hain
Tum ho to mera hona hai.
Tum na hote to kya hota
Hota main tab bhi, lekin
Hone ka matlab kya hota?

Monday, July 23, 2007

Ehsaas

ये बातें.
मन की बातें.
तुम हो मन में,
मन सुंदर है.
मन ख़ुश क्यूं है?
तेरा घर है.
छोटा या बड़ा
पर सुंदर है.
सपनों सी बनी, फ़ूलों से सजी
भावों से भरी, कुछ कुछ बहकी
क्या कहते इसे? मैं क्या जानूं?
बस जानूं ये है तेरे लिए
दिल में धड़कन है तेरे लिए.
थोड़ा सा डर है तेरे लिए.
कुछ मन में कसक है तेरे लिए.
अनदेखा सफ़र है तेरे लिए.
आँखों में नमी, होठों पे हँसी.
मीठी सी चुभन, थोड़ी सी ख़ुशी.
प्यारा एहसास सब तेरा है
ढेरों विश्वास सब तेरा है
दिन-रात का मंज़र तेरा है.
भावों का समंदर तेरा है.
वो ख़त भी तेरे नाम के हैं
जो भेजे मैने कोरे हैं
औ उनको भेजा मैने ही
जो ख़ामोशी से पूरे हैं
वो वक़्त भी सारा तेरा है
जब मैं अकेला होता हूँ
तुम रहो- ना रहो साथ मेरे
मैं अक्स तुम्हारा छूता हूँ
रातों को बातें होती हैं
जागो तो बातें होती हैं
सो जाओ तो सपने में
भी मुलाक़ातें होती हैं
तुम हो तो मेरा होना है.
तुम ना होते तो क्या होता
होता मैं तब भी, लेकिन
होने का मतलब क्या होता?

Tuesday, June 19, 2007

Ulajhane Do

Talaash Aankho ki
Gehrai baaton ki
garmi saanson ki
Khatm na ho.


Din Saalon mein
Jaam pyalon mein
Pyaar baaton mein
Dhalane do.


Vichaar mann mein
Ghar van mein
Dev tan mein
Banane do.


Julf sar se
roshni ghar se
kopalein jad se
bikharne do


Nazarein aankhon mein
khayaal jaalon mein
dil baalon mein
Ulajhane do.

Sunday, June 17, 2007

BHAGWAAN YA KHUDA?

Aao, kuchh baat karein.
Dil ki nahin, dedh gaj upar dimaag ki.
usaki, Jo banaata hai
Hindu aur Musalaan.

Koi shareer pe nahin likhata.
Bas, baaton ko jehan mein Ghused dete hain.
Andar, Kahin gehre.

Woh daba baitha rehta hai
Kai baar anjaane hi.
Andar kone mein.

Phir,
Achaanak kisi din.
Woh uthata hai
Andar se deewaron pe
chot karta hai.
Baukhlaate hain sab.
Kuchh badal Jaate hain.
Aadmi se
Hindu aur musalmaan ban jaate hain.

Is virus ka kya ilaaz hai.
Iska hal.
Main bhagwaan se poochhoon ya khuda se?

Aasha

Udaas main hua.
Par Asha Maine chhodi nahin.

Mujhe tha vishwaas.
Phool phir khilenge
Hariyaali phir aayegi.

Tab, mere bhi din phirenge.

Wednesday, May 9, 2007

Zaroorat

Acchaiyan gosht nahin hain, namak hain.
Inke bina khana nahin pakta.

Aadmi kitna bhi bahak jaye, par yaad rakhe
Sharbat pheeka nahin chalta.

Jeibein bhari hon to acchha hai.
Par nisbatan, haath khali hi acchha.

Buraiyaan dhoondhonge to bahut milengi
Par kyun dhoondhein.
Aaina hi kya poora nahin padta.

Monday, May 7, 2007

Yaadon

Ai Yaadon.
Yun waqt-bewaqt na aaya karo.
Aaj kal main jara professional ho gaya hoon.
Meri Secratary se milo.
Milne ka samay nishchit karo.
Sapna naam hai uska.
Agar lage
Ki tum usase jyada khoobsurat ho,
Tabhi aana.