Showing posts with label 2000. Show all posts
Showing posts with label 2000. Show all posts

Thursday, May 10, 2007

Gazal

Humne to tumse jhooth kaha tha
Tumne to sachhi baat bana di

Is koshish mein ki aaina dekhein
Saamne se tasweer hata di

Tapti raatein, din hue bojhil
Tumne ye kaisi hawa baha di

Rasta aasan, paas hai manzil
kaisi yeh ulti baat padha di

Sapnon si aankhein, aankhon mein sapne
Humnein to aankhon mein raat bita di

Teri baatin yaad hain mujhko
Tumne meri baat bhula di.

Monday, May 7, 2007

Yaadon

Ai Yaadon.
Yun waqt-bewaqt na aaya karo.
Aaj kal main jara professional ho gaya hoon.
Meri Secratary se milo.
Milne ka samay nishchit karo.
Sapna naam hai uska.
Agar lage
Ki tum usase jyada khoobsurat ho,
Tabhi aana.

Thursday, April 19, 2007

Nigaahein

Banaaye humne rishtey, aansoo ke dard ke
Khusioyon ki hum mein chaah ek thi

Ek hi thi manzil, raah ek thi
badalte rahe chehare, nigaah ek thi

bachaa ke humnein rakha hai teri yaad ko
Bhulaane ki sabki salaah ek thi

Tez hue khanjar aur badle hain haath
Par ghaav ek tha aur Aah ek thi

Haalaat se jab bhi jhagada hua mera
Khuda ke siwa meri panaah ek thi

Teri nigaahon mein jadoo tha kya
Unmein to raat-o-subah ek thi

Tumse ummeedein meri hi thi adhik
Behlao ek tha, nibaah ek thi.

Tuesday, April 17, 2007

Tumne Likha

Tumne likha "Likhna mujhe kaise karte ho yaad.
Mujhase ubare kaise tum yeh likhna usake baad.

Main guzari un galiyon se jo ekdum anjani
Laut magar aayi hoon ab main jeekar ek kahani

Tumse paya maine woh sab jiska mol nahin hai
Khud ko bhi kuchh aisa baanta jiska tol nahin hai

Khush hoon main ab un cheezon se zinmein zosh nahin tha
Navzeevan ke sapne pal-pal, pahle hosh nahin tha

Ulajhi hoon, tooti hoon hoke apnon se bezaar
paye hain dukh unse jinko khub kiya tha pyaar

Aaj magar gham ko bhoolkar khusiyan dhoondh rahi hoon
Saath tumhara shabdon mein hi ab main dhoondh rahi hoon

Na chaho gar likhana mera, kabhi na bhejungi khat
par yeh rakhna yaad main rasta dekhungi har waqt".

Sunday, April 8, 2007

Main pala jis dhang se -2

Main pala jis dhang se kyun bhang karti ho kavita
Shaant chhitta tha main pada kyun tang karti ho kavita

Aake ek din hi achanak kahogi 'likh ja mujhe'
Shabd dogi dhoondhkar aur kahogi 'sirja mujhe'
Koi duja na mila kya, mujhko deke apna bhaar
Kyun safar mein zindagi ke sang chalti ho kavita

Bhaavna se door hona chahata hai yeh hriday
Haar ka ehsaas na ho, na karoon mehsoos jay
Banoon Shila, main thhos dil ko kar bhi loon to kya bura
Kyun shila mein padma-sarjit anga bharti ho kavita

Friday, April 6, 2007

Kyun tang karti ho kavita!

Main pala jis dhang se kyun bhang karti ho kavita
Shaant chhitta tha main pada kyun tang karti ho kavita

Bhaavna se door hona chahata hai yeh hriday
Haar ka ehsaas na ho, na karoon mehsoos jay

Banoon Shila, main thhos dil ko kar bhi loon to kya bura
Kyun shila mein padma-sarjit anga bharti ho kavita