Showing posts with label 1998. Show all posts
Showing posts with label 1998. Show all posts

Wednesday, August 29, 2007

Poem

Dukh mila aur wo ro diya
Bechaara abhi khiladi kacchha hai.


Shaitaniyan gar kisi ki muaaf ho jayein
Samajho wo aadmi baccha hai


Jhootha main bhi hoon, par andaaz sachha hai
Kam se kam safed jhooth se to acchha hai


Girgit bhala kyun kahte ho zindagi ko
Ye Idd ki saviyyon ka lacchha hai

Kya hai kavita?

Kya hai kavita?
Shabd nahin hai to kya hai?
Amrit hai ye.
Jeevan vrit ki trizya hai.


Kya hai kavita?
ratn yahi hai bhasha ka
Bhavukta hai.
Aiyyaron ka lehza hai.


Kya hai kavita?
Vidha hai ek saahitya ki.
Bhaav prawan hai.
Marga-darshika pragya hai.


Kya hai kavita?
Shaili hai kuchh kahne ki.
Shakti hai yeh.
Khand-khand ki sangya hai.


Kya hai kavita?
Kaam nahin hai murdon ka.
Laykaari hai.
Sundar si ye kalpna hai.


Kya hai kavita?
Samvaadon ka hai sansaar.
Baat-cheet hai
Dwigaami yeh saadhana hai.

Monday, August 27, 2007

Prakriti hai Balwati

Prakriti se hoon aprichit
mahima kitni hai, anishchit.
Jo kabhi hum bhid pade to
Jeet uski hai sunishchit












Hum sabhi aage badhe hain
Jadon se lekin hate hain
Oxygen ke centres hai ab
Saath hi jungle kate hain.

Darr hai lagta prakriti se
Aasare ab vikriti ke
Kabhi tsunami, kabhi bhukamp
Ishwar dooba swa-kriti se.
Saumya chehara prakriti ka
Shiv ko peeche chhod sakta
Sudarshan hai, Shaant hai, par
Lasya-taandav jod sakta.
dekh maanav, aur darr tu.
Ikchhaon pe kaabu kar tu
Prakriti to balwati hai.
Iska kuchh sammaan kar tu.

Monday, July 30, 2007

Gazal

Ghar mein roshni karne se ghar ji nahin uthata.
Ise ghar banana ho to insaan basaiye


Khuda ne suraj harek ki kismat mein nahin likha
Jo paas hain ujale, unhi se dil lagaiye


Zindagi kalam hai, likhati rehti hai.
Ise rishnai nahin, mohabbat pilaiye


Sahi hai ki khuda pattharon mein nahin basta
Par wo kahan nahin hai, yeh to bataiye


Dil agar zinda hai to dukhata bhi hoga
Jo kabhi roya nahin, woh insaan dikhaiye.

Saturday, July 7, 2007

Nazm

Humne poochha ki tumhari umar kya hai?
tay kiya zindagi ka safar kya hai?
Tum ginane lage kyun bitaye saal
Kaho, haadson ka asar kya hai?


Saleeke ki zindagi ka haq sabhi ko hai
Zakhmon pe malham ka haq sabhi ko hai
Khaana bhi haq hota sabhi ka, isliye
Mehsoos karo bhookhon ki nazar kya hai.


Taqdeer cheez badi hoti hai
Haat ki lakeeron mein zari hoti hai
Zindagi iske bina chalti nahin
Hum chal rahe hain, dekho zigar kya hai.


Aayega utarke koi tumhein le jaane
Sapnon ki duniya mein ghar basane
Magar phir tum darr jaati ho
Main poochhata hoon ye 'magar' kya hai?


Pankhe se ab aati hai garm hawa
Sab poochhate hain kya ho raha.
Bematlab ki baatein kyun poochhate ho
poochho ab ki 'sifar' kya hai?


Farzande-zamin hum sabhi hain
Milna sab ko mitti mein hai
Par jab tak hain, hain.
Maut ki fiqar kya hai.


farzande-zamin= Son of soil
Sifar = Zero

Friday, June 22, 2007

Prakriti ke nikat











Baadlon ke rang kai hain.
Laal, Neele, jamuni hain
Rui ke phaahe ya ujle
Barf ki partein nayi hain.
-------------------------











Godhuli mein laal nikhre
Reshmi julfon se bikhre
Chha gaye hain aasma mein
Baadlon ke jhund kitne.

Chidiyon ka ek jhund aata.
Lautata, hai ghar ko jata.
Ish ne kya chitra kheencha
dekhata main harsh pata.

Yun uda ek daal se wo
Panchhi jaise aatma ho.
Ja raha tha need ko wo
Ish se milne chala jyon
-----------
rang ye kitne sajile
Prakriti mein tap ke nikale
ruk gayi ho saans jaise
Chitra hain itne rupahale

Koi keh de mujhse aakar
Ja raho tum pahadon par
Khush Hounga, Ja rahunga
Prakriti ke nikat Jakar.

Tuesday, June 19, 2007

Ulajhane Do

Talaash Aankho ki
Gehrai baaton ki
garmi saanson ki
Khatm na ho.


Din Saalon mein
Jaam pyalon mein
Pyaar baaton mein
Dhalane do.


Vichaar mann mein
Ghar van mein
Dev tan mein
Banane do.


Julf sar se
roshni ghar se
kopalein jad se
bikharne do


Nazarein aankhon mein
khayaal jaalon mein
dil baalon mein
Ulajhane do.

Wednesday, May 9, 2007

Zaroorat

Acchaiyan gosht nahin hain, namak hain.
Inke bina khana nahin pakta.

Aadmi kitna bhi bahak jaye, par yaad rakhe
Sharbat pheeka nahin chalta.

Jeibein bhari hon to acchha hai.
Par nisbatan, haath khali hi acchha.

Buraiyaan dhoondhonge to bahut milengi
Par kyun dhoondhein.
Aaina hi kya poora nahin padta.

Tuesday, May 1, 2007

Intezaar kya varshon ka hai

कौन है वो और कब आएगी
इंतज़ार क्या वर्षों का है

सपनों में है, साँसों में है
धुंधली सी वो आंखों में है
मूर्त रुप को कब पायेगी
छोटा लम्हा वर्षों सा है

सोता हूँ कि उसको देखूं
सपनों से पर मुझे जगाये
रूह से उसकी मिल तो चुका हूँ
सच में मिल लूं क्या रास्ता है

हो सकता उसके उर में हो
अवश कटीली डालें भी
पर उसके पल्लू में शायद
छोटा पौधा सरसों का है

उसके जैसी कई दिखती हैं
मुझको भी अच्छी लगती हैं
पर मेरी चाहत में ढलने
का दिन कल या परसों का

One of the first poems by me.

Tuesday, April 17, 2007

Shelf

Kitna accha hota
Hum yaadon ko shelf mein rakh pate
Kitaabein banakar, Zildband karke
Aur, jab ikchha hoti
Jate, koi kitaab uthate, Padhate.
Phir shelf pe daal aate.
Kitna Achha hota.
Yaadon ke panne nahin,
Yaadon ki kitaab hoti.

Tuesday, April 10, 2007

Maa ki tasveer

Homework tha chitra banao kaam kare jo lagataar
Bacche ulajhe rang-koochi mein, saare tarun chitrakaar

Subah hui aur kaksha baithi, bachhon ne chitra dikhaaye
Suraj, Ghadi, Pankha aur press; Sabne alag thhe chitra banaaye

Teacher ne dekhi ek copy, poochhi "kya banaya ji?"
Bachha thoda ruk-kar bola "tasveer hai meri MAA ki".