Thursday, July 17, 2008

Bewakufiyan

Kabhi likha hai kuchh

Mobile ki roshni mein, chhupaake?

Uchhale ho hawa mein

Dono Paanv takraake?

Dekha hai kabhi khud ko aaine mein

ajeeb si shaklein banaake?

Kabhi chhat ki munder pe hue ho khade

Titanic waale pose mein?

Ya football ko ungliyon pe nachaane ki

Practice ki hai?

Karke dekho.

Ye bewkufiyan

Behad pasand hain

Use.

Monday, July 14, 2008

Agar Khuda ek banker hota

Agar khuda chef hota

To bataata

Lazeez khana

Bina aag pe pakaaye

kaise pakaayein

Agar priest hota

To confession box mein

Doosron ka mann

Halka karta

Mochi hota

To sahuliyat paaon ki

Sahejta

Khubsurti se

Khuda agar

Designer hota

To sochta

Jo bana diya pahle

Usase behtar kaise banaaoon

Khilaadi hota

To maidaan pe

Din tay karta

Ki kaun se keertimaan

Kab behtar karne hain

Engineer hota woh

To banaata kuchh naya

Aur kehta

Banaata to hamesha se hi aaya hoon

Par engineer bankar

maanviy tareeke se

Naya banaane ka

Tamga mil gaya mujhe

Sangeetkaar Hota

To chori karta

Apni hi banaayi

Saikadon aawaazon mein se

Kuchh chuni hui shrutiyaan

Pirota

Aur banaata

Bhahma-sangeet

Agar Khuda banker hota

To bataata

Duniya ke hisaab mein

Liabilities do not equal assets

Chaaron taraf

Khuda ne banaaya hai sab kuchh

Gar kuchh bhi naya karma hota

To chun-ne hote aayaam

Tay karne hote shrot

Aur ban jaati nayi kriti

Kisi upasthit se prerit

Lekin anokhi

Jaise kabhi

Amoeba se

Aaj ka manushya bana.

Kirdaar aur Main

Ladai Ho gayi thi humse

Kirdaaron ne pahne shabd,
Aur odhe ehsaas
Nikal pade.

Kahaani shuru ho gayi.

Mausam thoda badmizaaz the us din
Khoob Barsa.
Ehsaas poore bheeg gaye.
Par.
Shabdon ne bachaya
Kirdaaron ko
Bheetar tak bheegane se.

Kirdaar chalte rahe.

Raaste mein unhone sune
Hazzar atkalein
Ki hum kyun lade
Unmein sach koi bhi nahin tha
Kalpanaayein sabhi acchhi thin.

Apnaaya, Saheja
Un atkalon ko.
Kahaani aage badhi.

Main ghar soona pakar.
Baahar nikalne ko hua
lekin baarish thi
Paanv kheench liye waapas

Bhatakte hue kirdaar
Rahe the bahut kuchh
Par shahar chhota tha
baarish thamne pe
Dhhondh nikaala humne
Kirdaaron ko
Maidaan ke us paar.

Atkalein darkinaar kar di maine. 
Par jo motiyan
mere kirdaar bator laaye hain
Unka kya karoon!

Kahani ki maala mein
Antim daana to koi ek hi lagega.

Dhokha Zindagi ka

Jaane kyun hota hai
Aur Jab hota hai
to kahan hota hai
Pata kyun nahin chalta

Shaam khaali si
Din bhare se rahte hain
Aankhein khuli ho
par dekhti nahin


Sparsh ka anubhav
Anchhua
Jaise baarish ki boond koi


Sapne sachhe se
Dekhne laga hoon main
Isliye, darr lagta hai

Jaane kyun hota hai
Dhokha mujhe
zindagi ka
Aur Jab hota hai
to hota hai
yeh
Pata kyun nahin chalta.

Kya samandar ban sakoge tum?

Thhop Di jaaye agar Gehrai tumpe
Kya samandar ban sakoge tum?

Chhand leke surya ka bal
Failaata prakash sheetal
Apni oorza se prakaashit
Karta jaata surya har pal

Swayam jalkar is jagat ko
roshni kya de sakoge tum
kya diwakar ban sakoge tum.

Raat

Main raat ko
muhaane pe hi chhod aaya tha.

Baat poori ho gayi thi hamaari
Maine ujaale chune the
Raat naraaz hui thi.
Maine palat ke
dekha tak nahin tha.

Aaj
Phir se andhera chha raha hai
Usi muhaane pe
laut aaya hoon
main.

Tohmatein

Lambi palkon se khinchkar
bejubaan sarhadein,
Ban jaana kisi ki
khamoshi ka sabab,
Bhala kise acchha lagega

Gar chup rahe tum,
sahte rahe sab kuchh,
inmein main kahan tha,
tohmat mujhpe kyun.
Bulaaya hote ek baar.


Teri palkon ki bhaasha
Aati hai humein.
Bejubaan sarhadein laanghna
Koi mushkil na tha
mere liye.


Aaj,
Jab bantwara ho chuka mukammal,
Sarhad ke us paar
kaise hoge tum
yahi sochta hoon.

Dil kehta hai
ki humhein yaad karte hoge.
par maine tumhari
tohmatein odh li hain.

Kya pata,
kabhi sarhadein toot jaayein.
aur aise mein,
mujhe tumhaare saamne
sharminda na hona pade.

Baadlon ki doosri duniya

Baadlon ki doosri duniya bhi hoti hai

Aankhon mein basi
surk hatheliyon ki lakeeron se gujarti
har dam sarkti lekin
kabhi kahin pahunchti nahin

Badhti hai kyunki khyaalon ke pankh hote hain
Uda le jaate hain is aasmaan ke us paar
Waapas aana nahin hota, bas
Sapne bunate hain
Un sapnon ki kaleen pe udkar
Dekh aate hain is duniya ka haal

mausam badla
to odh lete hain rang birangi odhni
kaali, safed, bhoori, peeli, sunahari
Jaise baarish ko dekh
Sir chhipaane ko
Odh li ho chunari kisi ne

Aur jab,
Saagar bulata hai apne aseem vistaar ki or
Sharma jaate hain
Thaki awaaz mein kahte hain
Yeh duniya
us duniya sareekhi hi hai
Alag kya hai bhala

Wahan bhi suraj ki garmi banaati hai humein
Aur baarish ka mausam humein
pighla deta hai
Sapnon mein aisa to nahin hona chahiye na!
Bolo, main kya jawaab doon
is rumaaniyat se bhare sawaal ka?

Anshu Musalsal jal rahe honge

Ghar ka sonpaak mujhe namkee laga zara
chaashni mein maa ke aansoo ghule honge


bheint ka wrapper kareene se saheja hai
unmein likhe kahin shikwe gile honge


police behichak bulaane ko aayi hai
badon ki shakl ke bachhe mile honge


jung kar ke thak ke baitha hai mera zameer
kaisi geeta, kahan apne karbale honge


Zindagi ka daayra samet liya hai
Ishq karke hum kya phir se baawle honge


Jo masal daale unhone teergi ke beej
phool banke meri kabr pe khile honge


Ug ke aana, doob jaana - dekhna thhahra
Dar-asal anshu musalsal jal rahe honge


sonpaak - a kind of sweet
Karbale - Holy war of karbala, which symbolised essence of values and ethics over life (used here in ap-bhransh)
anshu - Sun

Dher se Chhote Sher

1. baatein Sau Puraani
khamoshi ek nayi
Yeh Kaisa muqabla

2. Main Nazm thi

Sanwaaraa tune mujhe
gazal bana diya....

3. Har raat ek samaan

Har subah nayi kaise?

4. Maine kaha tha, mat gino

Hisaab milega nahin

5. ......:::.Kirdaaron ne pahne shabd:::......

......:::.aur odhe ehsaas:.....
......:::.Kahaani bani:..........

6. Immaratein banaaneko

Tode gaye ghar

7. Gareebi ke khel

Bisleri ki botal
Mitti ka tel

8. Bhoolna seekh gaya jaise

Ishq phir se ho gaya

9. Turup ka patta main tha

Chaal uski thi

10. khurduri twachaa

namakeen parat
mehnat ka saboot mere

11. Mitti mein maha baaki hai

Baarish ne bataya.

Saturday, July 12, 2008

Chhoti Nazm

1. Marasim saare khatm hue
Sadakon pe ghaas aa gayi.

2. Aankhon mein ummeed
Sufi ka gaana
Dono khoye kahin.

Sunday, March 30, 2008

Aasmaan ke paar

Baadlon ki doosri duniya bhi hoti hai

Aankhon mein basi

surk hatheliyon ki lakeeron se gujarti

har dam sarkti lekin

kabhi kahin pahunchti nahin

Badhti hai kyunki khyaalon ke pankh hote hain

Uda le jaate hain is aasmaan ke us paar

Waapas aana nahin hota, bas

Sapne bunate hain

Un sapnon ki kaleen pe udkar

Dekh aate hain is duniya ka haal

mausam badla

to odh lete hain rang birangi odhni

kaali, safed, bhoori, peeli, sunahari

Jaise baarish ko dekh

Sir chhipaane ko

Odh li ho chunari kisi ne

Aur jab,

Saagar bulata hai apne aseem vistaar ki or

Sharma jaate hai

Thaki awaaz mein kahte hain

Yeh duniya

us duniya sareekhi hi hai

Alag kya hai bhala

Wahan bhi suraj ki garmi banaati hai humein

Aur baarish ka mausam humein

pighla deta hai

Sapnon mein aisa to nahin hona chahiye na!

Bolo, main kya jawaab doon

is rumaaniyat se bhare sawaal ka.

har subah ka ashaar

Ahale subah har din


ashaar likh jaata hai koi


alfaaz pahunchte hain paas


lekin kuchh chup se


thode sahme, thode naraaz


par maan jaane ko taiyaar


main kuchh bhi kahoon


sunte zaroor hain


par haalaat, tabiyat, aur mausam


maayne tay karte hain unke


mann karta hai poochhoon


kaun hai jo likhta hai har din


kaun hai jo har din yaad karta hai mujhe


Lekin unhein bhi pata nahin


yeh main jaanta hoon


................

Thursday, March 27, 2008

Udhaar

Udhaar doston ke paas rahe
dosti maine rakh li.

Khuda ne kaha

Turup ka patta woh tha

Chaal meri thi

Khuda ne kaha

Aawaargi

Hatheli pe boondon ko uthaao
Sarak jaate hain lakeeron ke beech

Aawargi boond ki fitrat, ya lakeeron ki.

Friday, March 21, 2008

Thakan

Udaasiyon ki ghadi thakaati hai aankhein

Tumhari kami ek gehra bojh hai

Thak gya bahut, chalo neend acchhi aayegi.