Friday, April 27, 2007

प्रकृति के निकट

कोई कह दे मुझसे आकर जा रहो तुम पहाड़ों पर
खुश होऊंगा जा रहुँगा प्रकृति के निकट जाकर

Wednesday, April 25, 2007

Aisa Nahin Hota

Hawaayein jo sunati hain wo lori hai ya marsiya
Ye sihran aur darr! Lori mein to aisa nahin hota

Banaye the kabhi shakhon pe ghar humne bhi bachpan mein
hawaayein khwaab chhoo jayein kabhi aisa nahin hota
(meaning: changes do not result in death of dreams)

Bahut ulajhe ki ab to doston mein farq karke dekh
Harek aankh ka paani kabhi ik saa nahin hota

Saturday, April 21, 2007

Apna Aib

Apna aib humein kholana bhi chahiye.
Taki log humein dewata na samajhein

Aur agar tum mein aib nahin hai
To jo log tumhein phoolon ka haar denge
Woh hi Isah aur Gandhi ke samaan
Ya to sooli pe latka dengein
Ya tumhein goli maar denge.

Isah = Christ

Thursday, April 19, 2007

Nigaahein

Banaaye humne rishtey, aansoo ke dard ke
Khusioyon ki hum mein chaah ek thi

Ek hi thi manzil, raah ek thi
badalte rahe chehare, nigaah ek thi

bachaa ke humnein rakha hai teri yaad ko
Bhulaane ki sabki salaah ek thi

Tez hue khanjar aur badle hain haath
Par ghaav ek tha aur Aah ek thi

Haalaat se jab bhi jhagada hua mera
Khuda ke siwa meri panaah ek thi

Teri nigaahon mein jadoo tha kya
Unmein to raat-o-subah ek thi

Tumse ummeedein meri hi thi adhik
Behlao ek tha, nibaah ek thi.

Tuesday, April 17, 2007

Shelf

Kitna accha hota
Hum yaadon ko shelf mein rakh pate
Kitaabein banakar, Zildband karke
Aur, jab ikchha hoti
Jate, koi kitaab uthate, Padhate.
Phir shelf pe daal aate.
Kitna Achha hota.
Yaadon ke panne nahin,
Yaadon ki kitaab hoti.

Tumne Likha

Tumne likha "Likhna mujhe kaise karte ho yaad.
Mujhase ubare kaise tum yeh likhna usake baad.

Main guzari un galiyon se jo ekdum anjani
Laut magar aayi hoon ab main jeekar ek kahani

Tumse paya maine woh sab jiska mol nahin hai
Khud ko bhi kuchh aisa baanta jiska tol nahin hai

Khush hoon main ab un cheezon se zinmein zosh nahin tha
Navzeevan ke sapne pal-pal, pahle hosh nahin tha

Ulajhi hoon, tooti hoon hoke apnon se bezaar
paye hain dukh unse jinko khub kiya tha pyaar

Aaj magar gham ko bhoolkar khusiyan dhoondh rahi hoon
Saath tumhara shabdon mein hi ab main dhoondh rahi hoon

Na chaho gar likhana mera, kabhi na bhejungi khat
par yeh rakhna yaad main rasta dekhungi har waqt".

Thursday, April 12, 2007

Baadal

Ai Baadal !

Tumhein to udana aata hai na?
Tum to wahi paani yahan barsaate ho
Jo kahin bhi aur.
To suno, mera ek kaam karoge.
Jab jana na wahan
To unase kehna
Teri baarish mein bheegein.
Maine apna sparsh tumhein udhaar diya

Kehna ki en boondon ko maine chhua tha.
Aur jab lautana, to apne matmaile paani mein
Unki bheegati tasveer jaroor bharke lana.
Mujhe accha lagega.

Main bhi dekhunga
Meri ungliyaan Unke jism ko chhoote waqt
Kaisi lagti hain.
Aur, woh kaisi lagti hain
Mere sparsh se pahle
Aur mere sparsh ke baad.

Aur dekho, agar woh bheegana na chaahein.
To mat bheegona unhein.

Tab sochunga
sharm aati hai unhein
Meri chhuan ka udhaar
Kisi aur se lete.

Dekho, zid mat karna.
Aur, laut kar aana jaroor.

Tuesday, April 10, 2007

Maa ki tasveer

Homework tha chitra banao kaam kare jo lagataar
Bacche ulajhe rang-koochi mein, saare tarun chitrakaar

Subah hui aur kaksha baithi, bachhon ne chitra dikhaaye
Suraj, Ghadi, Pankha aur press; Sabne alag thhe chitra banaaye

Teacher ne dekhi ek copy, poochhi "kya banaya ji?"
Bachha thoda ruk-kar bola "tasveer hai meri MAA ki".

Monday, April 9, 2007

The ten minute call

A call that lasted minutes ten
Capturing moments of lasting pain
A talk that searches answers for,
And pen that succumbes to creative yore.

She who faces history today
She who wants future OK
The wish to get an answer YES
The longing which is more than lust

A place which is 'no-where land'
A journey trailed on desert sand
A life which dreamt of song-n-art
An image drawn in blood-from-heart

A gap that existed five years
Spent in exile to self, is clear.
A death and re-birth, phoneix style
The feeling to sink, which, will take a while.

Sunday, April 8, 2007

Aa gaye hain hum jahan
wahan se aage raasta
Yahin kahin chhupa pada
Padega use dhoondhana.

Main pala jis dhang se -2

Main pala jis dhang se kyun bhang karti ho kavita
Shaant chhitta tha main pada kyun tang karti ho kavita

Aake ek din hi achanak kahogi 'likh ja mujhe'
Shabd dogi dhoondhkar aur kahogi 'sirja mujhe'
Koi duja na mila kya, mujhko deke apna bhaar
Kyun safar mein zindagi ke sang chalti ho kavita

Bhaavna se door hona chahata hai yeh hriday
Haar ka ehsaas na ho, na karoon mehsoos jay
Banoon Shila, main thhos dil ko kar bhi loon to kya bura
Kyun shila mein padma-sarjit anga bharti ho kavita

Jab bheed bahut Ho

Jab bheed bahut Ho
Sabhi khush hon
Aur tum akelapan mehsoos karo
Toh samajh lena
Zameer tumhara zinda hai
Mann abhi mara nahin
Dimaag abhi bhi sochata hai
Aadmiyat abhi bhi
Bachi hui hai tujhmein.

Aur yeh soch ke
Khush ho lena.

Ehsaas-7

Tum kya mere ghar aaye the?
Phir kisne rakhe the haath meri mundi palkon pe
Woh kaun sa tha ehsaas
Jab muje laga ki tum ho
Jabki main janta tha ki tum nahin ho.
Main sidhiyon tak gaya tha dekhane tumhein
aur tumhein na paakar bhi
lauta tha khushi-khushi

Kyunki.
Mujhe kuchh dikh gaya tha.
Meri kalpana mera ehsaas ban gayi thi

Meri duniya ne is duniya ko jeet liya tha
Mere sapne mera sach ban gaye the.
Mere sapne jeet gaye the.

Friday, April 6, 2007

Kyun tang karti ho kavita!

Main pala jis dhang se kyun bhang karti ho kavita
Shaant chhitta tha main pada kyun tang karti ho kavita

Bhaavna se door hona chahata hai yeh hriday
Haar ka ehsaas na ho, na karoon mehsoos jay

Banoon Shila, main thhos dil ko kar bhi loon to kya bura
Kyun shila mein padma-sarjit anga bharti ho kavita

Thursday, April 5, 2007

Why another Blog? What am I searching?

We think. Ideas sometime take the shape of poetry , sometime of prose, sometime nothing. For nothings, nothing needs to be done. I simply stack them at Interface (my first blog). For prose, I try and capture them on my blog fiction-in-life. There are more things, more genres coming. What do I do with them?

Some say it compartmentalization of thoughts, some feel its stacking them beautifully.... like filing of books neatly in library racks- History goes in left corner, literature on upper right, taxonomy on upper ledge, journals in the drawer.

Similarly for Blogs - Poems on page 1, diary on 2nd. Fiction on 3rd, Essays on 4th, Political comments on 5th, Travelogue on 6th, Portraits on 7th, and probably Autobiography on 8th.... From my side, this is the 3rd one, but not in the same order.

I am searching for "rhythm" on this blog page - in life, in words, in me. Hope to frequent myself with the changed frequencies within and match with the wavelengths outside.