Thursday, April 12, 2007

Baadal

Ai Baadal !

Tumhein to udana aata hai na?
Tum to wahi paani yahan barsaate ho
Jo kahin bhi aur.
To suno, mera ek kaam karoge.
Jab jana na wahan
To unase kehna
Teri baarish mein bheegein.
Maine apna sparsh tumhein udhaar diya

Kehna ki en boondon ko maine chhua tha.
Aur jab lautana, to apne matmaile paani mein
Unki bheegati tasveer jaroor bharke lana.
Mujhe accha lagega.

Main bhi dekhunga
Meri ungliyaan Unke jism ko chhoote waqt
Kaisi lagti hain.
Aur, woh kaisi lagti hain
Mere sparsh se pahle
Aur mere sparsh ke baad.

Aur dekho, agar woh bheegana na chaahein.
To mat bheegona unhein.

Tab sochunga
sharm aati hai unhein
Meri chhuan ka udhaar
Kisi aur se lete.

Dekho, zid mat karna.
Aur, laut kar aana jaroor.

1 comment:

Piyush k Mishra said...

bas itna kahunga tukaant kavita atukaant se behtar likhte ho....