Friday, December 17, 2010

Khaak hamaare wo kaam aayenge

shukriya kahenge, chale jaayenge
khaak hamaare wo kaam aayenge

humse akele mein parda na tha
humse hi mehfil mein sharmaayenge

chhup ke sanwaara hai ishq-e-wali
nafrat khuda se hai, chillayenge

meri kabar pe jo phool mile hain
lo to gawaahi, mukar jaayenge

paudhon ko aati hai kaisi adab
chhua unhone to murjhayenge

unki tarakki mubarak unhein, hum
apni tabaahi pe itraayenge

Tuesday, November 30, 2010

Kahaniyaan sochi kai
Likha nahin

Darta Tha
Kirdaaron ki zimmedirayan
Kaun uthaye

Paida karoon
Aur paal pos na sakoon
To?

Apna lahoo Pila sakoon
Aisi kuwat
Nahin mujhmein

maa hona aasaan nahin hota.

Anshul

Zindagi

Chhawal chuNne the.
Kaam mushkil tha.

Maine kankar chun liye.

Kitaab

Khat likhta aaya hoon
baatcheet ki hai
chup rah kar suna bhi hai

Lekin, 
Kitaab likhna
Na hoga mujh se

Chitthi, baatein, chuppi.
Sab
Ek baar karo
Aur badlo nahin
jaisi ubhare, 
waisi hi
daal aao/ keh do/ sun lo

Kitaabon ko to
sajaate hain
sawaarte hain
lekhak ki kalam se 
editor ki desk tak
kanTte chhaTte hain
Ek baar likho
To das baar badlo

Dohrane ka mauka
Jab degi zindagi
Tab likhhonga
Kitaab

Sunday, October 11, 2009

Gazal

Bahut se paap pahle ke bhula baitha tha shahari woh
Alag hai baat ki hai haaziri mein ab kachahari woh

Nahin armaa humein thandi hawaaon meethe sapnon ka
Humein jo chahiye kya de sakogi tum dupahari woh

Kudarati taur par hoti hai raatein shyaah rangon ki
Jise sooraj tha paana dhoondhtaa raatein sunahari woh

Bahut bedhab pasand uski chune hai ber jungle mein
Pare rakhta kabhi imli kabhi meethe Dasahari woh


Badal jaati hai kuchh kuchh aadatein jab umr dhalti hai
Magar ab bhi lagaata hai bichhawan mein Musahari woh


Kabhi baazi lagao, jeetane do chhote bachhon ko
Ki aisi haar ko to jeet ginta hai ikahari woh

Bahar:

Mafaailun Failaatun Mafaailun Failaatun

Mafaailun Failaatun Mafaailun Failaatun

Thursday, July 17, 2008

Bewakufiyan

Kabhi likha hai kuchh

Mobile ki roshni mein, chhupaake?

Uchhale ho hawa mein

Dono Paanv takraake?

Dekha hai kabhi khud ko aaine mein

ajeeb si shaklein banaake?

Kabhi chhat ki munder pe hue ho khade

Titanic waale pose mein?

Ya football ko ungliyon pe nachaane ki

Practice ki hai?

Karke dekho.

Ye bewkufiyan

Behad pasand hain

Use.

Monday, July 14, 2008

Agar Khuda ek banker hota

Agar khuda chef hota

To bataata

Lazeez khana

Bina aag pe pakaaye

kaise pakaayein

Agar priest hota

To confession box mein

Doosron ka mann

Halka karta

Mochi hota

To sahuliyat paaon ki

Sahejta

Khubsurti se

Khuda agar

Designer hota

To sochta

Jo bana diya pahle

Usase behtar kaise banaaoon

Khilaadi hota

To maidaan pe

Din tay karta

Ki kaun se keertimaan

Kab behtar karne hain

Engineer hota woh

To banaata kuchh naya

Aur kehta

Banaata to hamesha se hi aaya hoon

Par engineer bankar

maanviy tareeke se

Naya banaane ka

Tamga mil gaya mujhe

Sangeetkaar Hota

To chori karta

Apni hi banaayi

Saikadon aawaazon mein se

Kuchh chuni hui shrutiyaan

Pirota

Aur banaata

Bhahma-sangeet

Agar Khuda banker hota

To bataata

Duniya ke hisaab mein

Liabilities do not equal assets

Chaaron taraf

Khuda ne banaaya hai sab kuchh

Gar kuchh bhi naya karma hota

To chun-ne hote aayaam

Tay karne hote shrot

Aur ban jaati nayi kriti

Kisi upasthit se prerit

Lekin anokhi

Jaise kabhi

Amoeba se

Aaj ka manushya bana.