Friday, December 17, 2010

Khaak hamaare wo kaam aayenge

shukriya kahenge, chale jaayenge
khaak hamaare wo kaam aayenge

humse akele mein parda na tha
humse hi mehfil mein sharmaayenge

chhup ke sanwaara hai ishq-e-wali
nafrat khuda se hai, chillayenge

meri kabar pe jo phool mile hain
lo to gawaahi, mukar jaayenge

paudhon ko aati hai kaisi adab
chhua unhone to murjhayenge

unki tarakki mubarak unhein, hum
apni tabaahi pe itraayenge

2 comments:

दिपाली "आब" said...

badhiya gazal kahi hai sir.. iska postmortem to pehle hi ho chuka hai mere haathon :D :)
MAST HAI

Piyush k Mishra said...

ghazab