Monday, July 14, 2008

Baadlon ki doosri duniya

Baadlon ki doosri duniya bhi hoti hai

Aankhon mein basi
surk hatheliyon ki lakeeron se gujarti
har dam sarkti lekin
kabhi kahin pahunchti nahin

Badhti hai kyunki khyaalon ke pankh hote hain
Uda le jaate hain is aasmaan ke us paar
Waapas aana nahin hota, bas
Sapne bunate hain
Un sapnon ki kaleen pe udkar
Dekh aate hain is duniya ka haal

mausam badla
to odh lete hain rang birangi odhni
kaali, safed, bhoori, peeli, sunahari
Jaise baarish ko dekh
Sir chhipaane ko
Odh li ho chunari kisi ne

Aur jab,
Saagar bulata hai apne aseem vistaar ki or
Sharma jaate hain
Thaki awaaz mein kahte hain
Yeh duniya
us duniya sareekhi hi hai
Alag kya hai bhala

Wahan bhi suraj ki garmi banaati hai humein
Aur baarish ka mausam humein
pighla deta hai
Sapnon mein aisa to nahin hona chahiye na!
Bolo, main kya jawaab doon
is rumaaniyat se bhare sawaal ka?

No comments: