Monday, July 14, 2008

Kirdaar aur Main

Ladai Ho gayi thi humse

Kirdaaron ne pahne shabd,
Aur odhe ehsaas
Nikal pade.

Kahaani shuru ho gayi.

Mausam thoda badmizaaz the us din
Khoob Barsa.
Ehsaas poore bheeg gaye.
Par.
Shabdon ne bachaya
Kirdaaron ko
Bheetar tak bheegane se.

Kirdaar chalte rahe.

Raaste mein unhone sune
Hazzar atkalein
Ki hum kyun lade
Unmein sach koi bhi nahin tha
Kalpanaayein sabhi acchhi thin.

Apnaaya, Saheja
Un atkalon ko.
Kahaani aage badhi.

Main ghar soona pakar.
Baahar nikalne ko hua
lekin baarish thi
Paanv kheench liye waapas

Bhatakte hue kirdaar
Rahe the bahut kuchh
Par shahar chhota tha
baarish thamne pe
Dhhondh nikaala humne
Kirdaaron ko
Maidaan ke us paar.

Atkalein darkinaar kar di maine. 
Par jo motiyan
mere kirdaar bator laaye hain
Unka kya karoon!

Kahani ki maala mein
Antim daana to koi ek hi lagega.

No comments: