Sunday, March 30, 2008

Aasmaan ke paar

Baadlon ki doosri duniya bhi hoti hai

Aankhon mein basi

surk hatheliyon ki lakeeron se gujarti

har dam sarkti lekin

kabhi kahin pahunchti nahin

Badhti hai kyunki khyaalon ke pankh hote hain

Uda le jaate hain is aasmaan ke us paar

Waapas aana nahin hota, bas

Sapne bunate hain

Un sapnon ki kaleen pe udkar

Dekh aate hain is duniya ka haal

mausam badla

to odh lete hain rang birangi odhni

kaali, safed, bhoori, peeli, sunahari

Jaise baarish ko dekh

Sir chhipaane ko

Odh li ho chunari kisi ne

Aur jab,

Saagar bulata hai apne aseem vistaar ki or

Sharma jaate hai

Thaki awaaz mein kahte hain

Yeh duniya

us duniya sareekhi hi hai

Alag kya hai bhala

Wahan bhi suraj ki garmi banaati hai humein

Aur baarish ka mausam humein

pighla deta hai

Sapnon mein aisa to nahin hona chahiye na!

Bolo, main kya jawaab doon

is rumaaniyat se bhare sawaal ka.

1 comment:

Piyush k Mishra said...

baadalon ko sapnon se compare kiya hai tumne is kavita mein Anshul.magar sapnon ka varnan aur bhi sapneela ho sakta tha...thoda aur refine karne ki zaroorat hai.abhi kavita chhu nahin rahi...