Wednesday, May 9, 2007

Zaroorat

Acchaiyan gosht nahin hain, namak hain.
Inke bina khana nahin pakta.

Aadmi kitna bhi bahak jaye, par yaad rakhe
Sharbat pheeka nahin chalta.

Jeibein bhari hon to acchha hai.
Par nisbatan, haath khali hi acchha.

Buraiyaan dhoondhonge to bahut milengi
Par kyun dhoondhein.
Aaina hi kya poora nahin padta.

3 comments:

jughead - The Mystic Traveller Prince said...

hmm bahut mast and bahtu true. sachai ki gahrai hai.. sahbd pure hi nahi padte.

Piyush k Mishra said...

halki fulki baatein..magar ending mein kamaal kar diya
aakhiri sher bilkul mojaze jaisa aaya

Amit Ranjan said...


Buraiyaan dhoondhonge to bahut milengi
Par kyun dhoondhein.
Aaina hi kya poora nahin padta.


Superb ending.... O'Henry ki stories ka climax yaad aa gaya.. :-)