Friday, May 4, 2007

Main abhi tak mara nahin

saans abhi tak hai baaki, nabz pe ungali mat dalo
aankh mein sapne zinda hain, main bhi abhi tak mara nahin

pankh tumhare kaam ke hain, baadal paar se rishta hai
apni zameen ke washinde hum, apna mann to bhara nahin

sachhe insaa ki tanhai, sab kuchh pakar kho dena
khokar sab kuchh mil bhi gaya gar, saath to unka mila nahin

1 comment:

Piyush k Mishra said...

sachhe insaa ki tanhai, sab kuchh pakar kho dena
khokar sab kuchh mil bhi gaya gar, saath to unka mila nahin

kya baat kah di...
bahut hi achhi Kavita...
achha lagta hai aisi kavitaayein padh kar jismein sateek bhav aa jayein aur kavita bhi bani rahe