Saturday, May 5, 2007

Kavitaaon se baat

Ai Ajanmee putriyon
Yeh samarpan tumhare liye
ki ab main clinic nahin jaoongi
Main doctor aur hatyaare ko
ek na banaoongi

Tum Aao.
Swagat hai tumhara.
Aakhir tum meri hi to ho.
Phir chinta kaisi?
Rok kyunkar?
Inkaar kyun?
Sweekaar ho mujhe tum
jab aana chaho, tab.
Apni samast chetana mein
mera yeh nimantran
Tumhaare liye.

Aakhir main bhi to hoon MAA.
Maine bhi jheli hain prasav peeda
maine gadha hai roop tera
Aur ab, tujhe bachane ko
Leti hoon Pran
Na hone doongi bhroon hatyein
Mere dwara.
Yeh samarpan tumhare liye.

1 comment:

Piyush k Mishra said...

bahut hi achhi kavita
bhav bahut hi oonche hain aur ek maa ki drishti se dekhe gaye hain to jaan aa gayee hai