Sunday, June 17, 2007

BHAGWAAN YA KHUDA?

Aao, kuchh baat karein.
Dil ki nahin, dedh gaj upar dimaag ki.
usaki, Jo banaata hai
Hindu aur Musalaan.

Koi shareer pe nahin likhata.
Bas, baaton ko jehan mein Ghused dete hain.
Andar, Kahin gehre.

Woh daba baitha rehta hai
Kai baar anjaane hi.
Andar kone mein.

Phir,
Achaanak kisi din.
Woh uthata hai
Andar se deewaron pe
chot karta hai.
Baukhlaate hain sab.
Kuchh badal Jaate hain.
Aadmi se
Hindu aur musalmaan ban jaate hain.

Is virus ka kya ilaaz hai.
Iska hal.
Main bhagwaan se poochhoon ya khuda se?

1 comment:

jughead - The Mystic Traveller Prince said...

khuda to hal kismat mein likha karta hai..

woh aadmi bano jo kismat likha karta hai.