Tuesday, June 19, 2007

Aage kya karoon?

He priye, main prem ka vistaar aage kya karoon?
Bas tumhin ho, ab kisi se pyaar aage kya karoon?

Jab bhi hoti koi icchha, tum hi hoti kendra mein.
Apni Icchaon ka vistaar aage kya karoon?

Ye samundar hai, na koi tat na koi kinaara.
Bhatakta hoon, ab bhala nistaar aage kya karoon?

Ye kashish hai jo, bala hai. Rog hai ye lailaaz.
Kya karoon main, iska ab upchaar aage kya karoon?

Yun bhi gujare hain hamare din bina sampark ke.
Roke hai humko kathin sansaar aage kya karoon?

Dhundhata hoon koi tinka jo mile is dhaar mein
Main pada hoon is samay majhdaar aage kya karoon?

Hai musibat beech mein is raah ke to bepanaah
Chal chuka hoon, ab bhala inkaar aage kya karoon?

Sapne sachhe ho sakein; tha iska mujhe intejaar
Ho chuka un sapnon ka deedaar aage kya karoon?

Jane kya deewanapan hai, sochana har pal tumhein
Kahani kewal tum tak hai, kirdaar aage kya karoon?

1 comment:

jughead - The Mystic Traveller Prince said...

sab to tumne kah diya..

ab main comment aage kya karoon