Main pala jis dhang se kyun bhang karti ho kavita
Shaant chhitta tha main pada kyun tang karti ho kavita
Bhaavna se door hona chahata hai yeh hriday
Haar ka ehsaas na ho, na karoon mehsoos jay
Banoon Shila, main thhos dil ko kar bhi loon to kya bura
Kyun shila mein padma-sarjit anga bharti ho kavita
Friday, April 6, 2007
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
2 comments:
bahut hi khoobsoorat kavita hai....
awesome se zyada kuchh jaanta hi nahin warna wahi kahta....
soch raha hoon aisa kaise lokha ja sakta hai...
bahut hi achhi kavita
Main janta hoon piyush, tum bahut bahut bahut hi acchhe kavi ho. Mujhe acchha laga yeh jaankar ki yeh panktiyaan tumhein acchhi lagin. Tumhare jaisa likhna chahata hoon, lekin saath hi rhythm ki talaash bhi hai.
Post a Comment