Sunday, September 2, 2007

Bheeshm se kuch prashnhe

This one is inspired by the writing style of Hindi Poet Dinkar and his master piece Rashmi Rathi (wherein he made Karn the protagonist of his epic narration on mahabharat).I had read an article by Hazari Prasad Dwivedi (as part of our school curriculum) wherein he questioned Bheeshma Pitamah for his role as a partiarch. I was reading Dinkar during those days and the possibility of making Bheeshma the protagonist seemed interesting. Couldn't translate the wishes then. What I present now is a smaller version of what otherwise could have been a longer version with chapters entwined.



Bheeshm se kuch prashnhe


Bheeshm! tumne kyun diya vachankya
naam 'Debbrat' bura laga
the pitri -bhakt tum ye maana
kya pita ka aashay padha na tha


the yuva apitu brahmchari
rahne ko jeevan bhar tatpar
the pita vriddh, lekin kaami
kya mansha ko samajha na tha


tum rahe akele jeevan bhar
vaidhavy jhelate the pal-pal
sau putr-pautr, saathi sangi
lekin koi apna na tha


tumse na tha koi veer bada
ho gagan, paataal ya ho dhara
tum rann ke yoddha sarvottam
lekin paurush poora na tha


Kya vachan diya tumne is dhyey
mile kirti tumhen aparimey
dhikkar tumhen tum dar bhage
kya vansh-dayitw adhura na tha.

2 comments:

jughead - The Mystic Traveller Prince said...

very interesting.. problematising bheeshma in research terms..lols

aaj ke zamane mein so called 'kartvaya' mein khoye hue bahut 'bheeshma' milenga .. jo shayad convenience mein bhi glory dhund rahe honge..

Piyush k Mishra said...

Bheeshma ne apne kartavya ka paalan kiya aur sirf is wajah se unhein paurush-heen kahna anuchit hai ki unhone vivaah nahin kiya.raajgaddi na sambhaalne ka unka pran tha kintu pita ki mrityu ke baad unhone chitraangad ke behalf par raaj paat sambhala(chitrangada chhote the)..baad mein chitraangada ki mrityu hone par punah vichtraveerya ke behalf par raaj paat sambhala.
har samay ke anusaar kartavya ki paribhasha badal jaati hai...shaayad aaj hamein yeh bevakoofi ya paagalpan lagta hai parantu yeh us samay ki baat hai jab bahut pati aur bahu patni donon hi pratha thi samaaj mein aur jab yayati jaise putr hua karte the.
waise apne is shapath ki wajah se mahabhaarat ka sabse parakrami vyakti sabse nireeh prateet hota hai!!