Friday, December 17, 2010

Khaak hamaare wo kaam aayenge

shukriya kahenge, chale jaayenge
khaak hamaare wo kaam aayenge

humse akele mein parda na tha
humse hi mehfil mein sharmaayenge

chhup ke sanwaara hai ishq-e-wali
nafrat khuda se hai, chillayenge

meri kabar pe jo phool mile hain
lo to gawaahi, mukar jaayenge

paudhon ko aati hai kaisi adab
chhua unhone to murjhayenge

unki tarakki mubarak unhein, hum
apni tabaahi pe itraayenge

Tuesday, November 30, 2010

Kahaniyaan sochi kai
Likha nahin

Darta Tha
Kirdaaron ki zimmedirayan
Kaun uthaye

Paida karoon
Aur paal pos na sakoon
To?

Apna lahoo Pila sakoon
Aisi kuwat
Nahin mujhmein

maa hona aasaan nahin hota.

Anshul

Zindagi

Chhawal chuNne the.
Kaam mushkil tha.

Maine kankar chun liye.

Kitaab

Khat likhta aaya hoon
baatcheet ki hai
chup rah kar suna bhi hai

Lekin, 
Kitaab likhna
Na hoga mujh se

Chitthi, baatein, chuppi.
Sab
Ek baar karo
Aur badlo nahin
jaisi ubhare, 
waisi hi
daal aao/ keh do/ sun lo

Kitaabon ko to
sajaate hain
sawaarte hain
lekhak ki kalam se 
editor ki desk tak
kanTte chhaTte hain
Ek baar likho
To das baar badlo

Dohrane ka mauka
Jab degi zindagi
Tab likhhonga
Kitaab