Monday, October 22, 2007

Shabd

Sochna hi kehna nahin hota
Shabd jodne padte hain
Kehna hota hai.

Chhuppi bolti hai
aisa suna bhar hai

Tumhare jaane ka sannata
Shabd ki parchhaiyon ke beech
Khamosh hi to hai tab se.

Kab suni tumne aawaazein
Maine to pukaara nahin
Mujhe pata hai
Sochna hi kehna nahin hota
Shabd jodne padte hain
Kehna padta hai.
Lekin.....

Shabd laaoon kahan se
Mere vyakaran ki jyamiti mein
Sangya tum thin,
Shabdawali tum,
Kriya tum.

In-hi shabdon ke judne se
to banti hain baatein

Mera sannata nahin bolta mujhase
Kuchh baatein karni hain

Mere shabd waapas dogi mujhe.

2 comments:

jughead - The Mystic Traveller Prince said...

badh chale jab age to fir wapas na mango woh sab.. jao pathik kai aur rasta tumhari raah dekhta hoga

Piyush k Mishra said...

Anshul yeh tumhari ab tak ki sabse behatareen kavita hai.

mera sannata nahin bolta mujhse...
mere shabd wapas dogi mujhe...

inka koi jawab nahin.kitni hi baar..baar baar main aakar yeh kavita padh jaata hoon...exellent expression hai...