Tuesday, October 30, 2007

Prashna

Kya hai woh?
Jo mujhko Jode tumse
Tumko jode mujhase
Ye hai sahaj vishwaas.


Kya dekhoon main?
Har pal dikhati tum hi
Tumse itar kuchh nahin
Ye kaisa aabhaas.


Khush hooon kya?
Tumse miloon khil jaoon.
Dur jaoon murjhaoon
Ye kaisa ullaas.


Pyaar karoon main?
Roj naye udgaar.
Nit seema vistaar.
Ye sab bina prayaas.


Tumko Dhundhoon?
Kaise jhankoon bhitar.
Tera aks hai andar
Tum ho mere paas.

Sukoon

Ek purane khat mein dekha itr ki khossboo ab bhi thi
Syaah panne aur dhundhale harf puraani jabaan mein bolte the


Sukoon mila kam se kam maazi to baatein karta hai humse

Monday, October 29, 2007

ZID

Saath dena chahte the woh aage bhi
unhein rok diya humne mod pe hi


Ajeeb zid thi bicchhadne ki.

Monday, October 22, 2007

Shabd

Sochna hi kehna nahin hota
Shabd jodne padte hain
Kehna hota hai.

Chhuppi bolti hai
aisa suna bhar hai

Tumhare jaane ka sannata
Shabd ki parchhaiyon ke beech
Khamosh hi to hai tab se.

Kab suni tumne aawaazein
Maine to pukaara nahin
Mujhe pata hai
Sochna hi kehna nahin hota
Shabd jodne padte hain
Kehna padta hai.
Lekin.....

Shabd laaoon kahan se
Mere vyakaran ki jyamiti mein
Sangya tum thin,
Shabdawali tum,
Kriya tum.

In-hi shabdon ke judne se
to banti hain baatein

Mera sannata nahin bolta mujhase
Kuchh baatein karni hain

Mere shabd waapas dogi mujhe.

Sunday, October 14, 2007

Chori

Hatheli pe chaku ke nishaan aise hain
taqdeer se chhoti si takraar jaise hain

jeevan rekha theek karni hai, sabr se karo.
==================

Hatheli pe chaku ke nishaan aise hain
taqdeer se chhoti si takraar jaise hain

chori sabr ki karni hai bhai, sabr se karo