Saturday, July 7, 2007

Nazm

Humne poochha ki tumhari umar kya hai?
tay kiya zindagi ka safar kya hai?
Tum ginane lage kyun bitaye saal
Kaho, haadson ka asar kya hai?


Saleeke ki zindagi ka haq sabhi ko hai
Zakhmon pe malham ka haq sabhi ko hai
Khaana bhi haq hota sabhi ka, isliye
Mehsoos karo bhookhon ki nazar kya hai.


Taqdeer cheez badi hoti hai
Haat ki lakeeron mein zari hoti hai
Zindagi iske bina chalti nahin
Hum chal rahe hain, dekho zigar kya hai.


Aayega utarke koi tumhein le jaane
Sapnon ki duniya mein ghar basane
Magar phir tum darr jaati ho
Main poochhata hoon ye 'magar' kya hai?


Pankhe se ab aati hai garm hawa
Sab poochhate hain kya ho raha.
Bematlab ki baatein kyun poochhate ho
poochho ab ki 'sifar' kya hai?


Farzande-zamin hum sabhi hain
Milna sab ko mitti mein hai
Par jab tak hain, hain.
Maut ki fiqar kya hai.


farzande-zamin= Son of soil
Sifar = Zero

2 comments:

Amit Ranjan said...
This comment has been removed by the author.
Amit Ranjan said...

Mere khayal se Nazm mein har para 5 lines ki hoti hai....As told by the legend Ustad Ghulam Ali himself, in the function which I attended last sunday....:-)