Wednesday, August 29, 2007

Poem

Dukh mila aur wo ro diya
Bechaara abhi khiladi kacchha hai.


Shaitaniyan gar kisi ki muaaf ho jayein
Samajho wo aadmi baccha hai


Jhootha main bhi hoon, par andaaz sachha hai
Kam se kam safed jhooth se to acchha hai


Girgit bhala kyun kahte ho zindagi ko
Ye Idd ki saviyyon ka lacchha hai

Kya hai kavita?

Kya hai kavita?
Shabd nahin hai to kya hai?
Amrit hai ye.
Jeevan vrit ki trizya hai.


Kya hai kavita?
ratn yahi hai bhasha ka
Bhavukta hai.
Aiyyaron ka lehza hai.


Kya hai kavita?
Vidha hai ek saahitya ki.
Bhaav prawan hai.
Marga-darshika pragya hai.


Kya hai kavita?
Shaili hai kuchh kahne ki.
Shakti hai yeh.
Khand-khand ki sangya hai.


Kya hai kavita?
Kaam nahin hai murdon ka.
Laykaari hai.
Sundar si ye kalpna hai.


Kya hai kavita?
Samvaadon ka hai sansaar.
Baat-cheet hai
Dwigaami yeh saadhana hai.

Monday, August 27, 2007

Yunhi

TV channels yunhi badal deta hoon
Guide hota to kya baat hoti

Kuchh apni zindagi sa hai TV.

Hazaar (triveni)

Hazaar tohfon ki saugaat liye
Hazaar meel aayi nayi bahu

Hazaar raaton ka sach, ya Jhooth.

Aukaat

Gehre Jhaankaa jab kuaan mein
shakl tak dikhai nahin di khud ki

Aukaat chhoti kiski - meri ya khuda ki.

Kuchh Chhote sher aur ek triveni

1. Sunai jo di humein
Mera zameer to nahin.


2. Chapters aage peeche hain kya
Milne ke pahle bichhadna?


3. Ghar zamin pe mat banana
Zamin pe hawaayein acchhi nahin chal rahi............



4. Ab kheton se hoke gujarte hain
Tank raasta banayenge


5. Certificates bikhar gaye
Hawa bhi daga de gayi.


6. Rukh badal ke dekho
Chehare badal jaate hain.


7. Rukh badal ke dekha
Chand kuchh thehra sa hai.


8. USB si zindagi
Dher si yaadein, dheron files.


9. Kaise samajhayein unhein
Chithhi pahunchane mein hafton lagte the


10. Zindagi se daud ka hashr
Tyres flat ho gaye.


11. Teri angoothi kho gayi
Aakhiri sira jaata raha.


12. Mobile Holder dhondh lo
Kahin mera dil mil jaye.


13. Auto mein baithane ke pahle
Zindagi poochh baithi,"Change hai?"


14. Zindagi ne poochha,"Change hai?"
Hazaar ka note tha.


15. Satellite phone se confirm kiya
Kheton mein pesticide chahiye.


16. Solahwa saal kuchh khaas hai.
Aisa suna bhar hai.


17. Chaand nahin dekhata main ab.
Tum yaad aati ho.


18. Kaisi kahani likhi. Adhuri.
Ishwar ho ya serial writer.




19. Istri mein kapde chipak gaye.
Mahina abhi baaki hai.

Triveni:

1. Film thi.
Do end chalenge.

Zindagi hoti, to?

Prakriti hai Balwati

Prakriti se hoon aprichit
mahima kitni hai, anishchit.
Jo kabhi hum bhid pade to
Jeet uski hai sunishchit












Hum sabhi aage badhe hain
Jadon se lekin hate hain
Oxygen ke centres hai ab
Saath hi jungle kate hain.

Darr hai lagta prakriti se
Aasare ab vikriti ke
Kabhi tsunami, kabhi bhukamp
Ishwar dooba swa-kriti se.
Saumya chehara prakriti ka
Shiv ko peeche chhod sakta
Sudarshan hai, Shaant hai, par
Lasya-taandav jod sakta.
dekh maanav, aur darr tu.
Ikchhaon pe kaabu kar tu
Prakriti to balwati hai.
Iska kuchh sammaan kar tu.